Blog Archive

Showing posts with label poem. Show all posts
Showing posts with label poem. Show all posts

Tuesday, December 1, 2020

Poem in hindi

 Na jaane kon si kosis dohra raha hu, chote se diye se andhero ko dara raha hu.

Hai ghanghor andhera is basti mein, kuch diye dubara jala raha hu. Tel in diyo ka khatam ho jaega, andhra fir roshni ko harayega, diya jal raha h jab tak tel se wo jiyega fir wo loh hi baati ko kha jaega..

Megh garjenge jor se, ho ga soar har aur se.. naachega ye pura chakra dobara fir kisi mor se.

Yu hi man ko bahla raha hu, aaj kuch diyo ko bhujhne se bacha raha hu.. ye jaante hue ki kya hona h fir wohi baat dohra raha hu.. 


faste hue is kaal ke bandhan ko samjhta ja raha hu.. uljhe hue sawalo mein suljhta jaa raha hu.. 

jaanta hu saari ye kahani. 

Hai ye baate sadiyo purani.. fir bhi uljhata ja raha hu..

Fir kon si ab baat rah gai, bas chand kuch mulakaat rah gai wohi din wohi raat rah gai.. Naya kuch nahi tha musafir, jiske liye tu tarse.. tere kadmo ne naapi h kuch he dur tak manjil, abhi toa dekhne ko yaha aur bhi baaki h.


Hosh ki baate kiya naa kar, yaha behoshi hawa mein h.. jahar ki jarurat kaha kisiko yaha ki hawa he kaafi h.



Thursday, September 24, 2020

Poem

Hi dear friends, 

I wrote this poem in Hindi will soon come up with english too.. 


Ab itni silwate h nigaho mein sab dhundla sa najar aata h.. soar toa charo tarf h par insan kam he najar aata h.. uthati h har aawaj kuch bolne he ko sunne walo,.

Ye dalil h wakt ki khamosh na rahna tum; ye baazar h logo ka yaha har insaan becha jata h..,

 kaha se laaya jaae wo jigar jismein dar na ho, kaha se laaya jaae wo jigar jismein dar na ho, 

yaha toa khoon ko bhi paani batya jata h.. hum dhundne chale h jis khaab ko usse yaha majboori batakar chipaya jata h.., sitaaro ko sab pata h (2).,'. 

Ki kaise andhero ko mitaya jata h.., roshni apna wajood kaise dhunde yaha andhero ko roshni bataya jaata h.,., uljhe hue dhage h itne kashmakash k, 

aao seekhe ki kasie in se bistar banaya jata h..,.. haalat jab na sambhalte ho tab kaise un haalato mein sambhala jata h..., 

jaise pahli bund ka astitva khatam hona h nischit garm bhumi par, par barsaat ke aane ka sandesh wohi se aata h..,

 bhuli hui yaado ko khojne chala tha.,. Kaha ab aaj ki yaado mein raha jaata h... khoya hua mujhe pasand h jise khoje bina kaha raha jaata h..

 ummedo ke pahredar se kah do  char dino ki baat h itne mein he toa gujra wakt aata h..,